Read "Shukrana Khudawandi", a beautiful Islamic Hamd in Roman Urdu by Prof. Zafar Iqbal Khatana. A heartfelt expression of gratitude for Hajj, Makkah, Madinah, and Allah’s blessings.
Shukrana Khudawandi
Ae Rab Ta’ala, teri duniya mein rehne ki ijazat ka shukriya
Ae Khaliq-e-duniya, tere huzoor sar jhukanay ki ijazat ka shukriya
Teri nazar-e-karam, teri darguzar, teri rehmat ka talabgar hoon har dam
Haram Pak mein sajda-e-shukar baja lanay ki ijazat ka shukriya
Yeh gunahgaar o khata kaar, tere darbar mein haazri ke qabil to nahin tha
Apni inayat se, Maqam-e-Ibrahim pe girgiranay ki ijazat ka shukriya
Hoti hai yeh khwahish har Muslim ke dil mein ke shehar Madina chalay
Tere mehboob ke shehar mein janay ki ijazat ka shukriya
Aankhen tarasti theen Gunbad-e-Khizra ke deedar ko kab se
Kul nabiyon ke sardar ke dar pe aansu bahanay ki ijazat ka shukriya
Qadam rakh sakta nahin Arafat mein teri ijazat ke baghair koi
Jabal-e-Rehmat ke daman mein haath uthaanay ki ijazat ka shukriya
Tera mashkoor hai, mamnoon hai yeh banda-e-na-cheez ae Malik-e-do jahan
Hajj-e-Baitullah ke liye haazir aanay ki ijazat ka shukriya
— Prof. Chaudhary Zafar Iqbal Khatana



COMMENTS